I am going to share a poem in the form of conversation between student and saadhu baba............
Diwali ke din ek saadhu baba bole,
bacha teri raksha karega bole,
aaj diwali hai hamara kamandal khali hai,bharva de
jada nahi bs paanch rupay dilwa de;
humne kaha baba ji,dilwana hota to paanch kya paanch lakh dilwa dete ,
saara hindustan aapke naam kra dete,
hum Bhartiya nojawan hai-hamare pas Andha bhavisya,Langda bartman or gunge bayaan hai,
sarkar kaam nahi deti,duniya izzat nahi deti,baap paisa nahi deta or Mahbooba chitti nahi deti,
log diwali ke din diye jala rahe hai,hum dil jalate hai
ichayo(wish) ko aansuo me tal kar tyohaar mana rahe hai,
log hindustan me rahkar londan ko maat karte hai,
Hindi ka jhanda tham angreji ki baat krte hai,
or humse kahte hai ki apni sanskriti ko apnayo ab hum Azad hai tyohar manayo,
tyohar aadmi ko desh ki sanskriti se jodta hai or sanskriti jodti hai aadmi ko Roshni se;
magar babaji kathni or karni me bahut doori hai,
jis desh ki roshni kamro me bandh ho usme tyohar thopi hui majboori hai,
babaji bole dukhi mat ho bacha,
tu kismat wala hai diwali ke din hamare darshan kar raha ,
tujhe aashiirwad dene ka mn kar raha hai.
Humne kaha apne mn ko rokiye........................
aashirwad datao ke per choote -2 kamar jhook gai jeevan ki gadi aage badne se pahle ruk gai,
wo bole tu hamare Ashish ka apman kr raha hai, hum trikal darshi hai,bedanti hai,dekh hamare mooh me ek bhi daant nahi hai,
bacha hasne ki baat nahi,
log is jamane me kapde pahankar bhi nange hai hum ek langoti me nangapan dhak rahe hai,
santo ke desh me dhool phaank rahe hai,khaali kamandal lekar ghar -2 alkh jagate hai or log hume chor samajh ke bhagate hai,
Soor das ko chain nahi mila to nayan fod liye,hume ann(bhojan) nahi mila to daant tod liye/
wo soor das hum popal das ve atit ke gorav hum bartman ke santras,
humne kaha babaji aap to sahitya kaaro ko maat kar rahe hai,saadhu hokar santras ki baat kar rahe hai
ve bole tu hame nahi pahchanta hamara bartman dekha raha hai,bhootkal nahi jaanta aaj se ds(10) bars poorv hum akhil bhartiya kabi the,
log hamari bakwas ko anupras or ashlilta to alankar kahte the,
bade bade sanyojak hamari anti(muthi) me rahte the,
umne sabdo se arth kamaya hai,kavita ko manch par nanga naach nacahya hai,usi ka fal char rahe hai,tan par babhoot mal rahe hai,
khali kamandal liye fir rahe hai
humne kaha dukhi mat ho baba...........
aapka kamandal khali-hamari jeb khali,
Bhaad me jaye Holi or chule me jaye Diwali............
*****************************************************************************************************************************************************************************************************************************